Prem aur chaah

 

Aaj ke samay me sab independent hona chahte hai sab isi hor me hai ki jyada kmaya kaise jaaye apne skill par kaam kaise kiya jaaye, apni lifestyle ko aur jyada achcha kaise bnaya jaaye, par is daur me ham ek skill khote hue jaa rhe hai, wo hai rishte nibhaane ka hunar. Aaj ke samay me logo ke liye upsc crack krna samasya nhi hai balki apne family ko deal krna hai, apne dosto ko khush krna hai aur jin logo ka breakup hua hai unlogo ke liye move on krna hai pyaar aur chaah ektarfa ho sakta hai, yha tk ki nibhaya bhi jaa sakta hai lekin koi rishta kabhi  ektarfa nibhaya nhi jaa sakta, kyunki pyaar me koi shart nhi hoti  lekin rishte me na chahte hue bhi hoti hai. shart bharose ki, shart sach bolne aur sunne ki. samay kisi ka khraab hai us samay kabhi ham nhi samajhte par jab uska sab thik ho jaaye to kya hamlog tyaar hote hai sab thik dekhne ke liye ya use swikaarne ke liye. 

Mera manna to bas itna hai ki pyaar kro, chaaho, bhut chaho lekin kisi rishte ki umeed kiye bina qki ye umeede hi hai jo rishto ke bich gaath le aati hai. Aur har samay ye mumkin nahi hota ki ham har ek gaath ko khol paaye kyunki kabhi kabhi ye gaath itni ulajh jaati hai ki nahi to use ham kholna nhi chahenge ya usme itna samay lgega ya itna effort lgega ki samay bhut aage badh jaate hai. Isliye kabhi kabhi us gaath ko todna hota hai aur kabhi un gaatho ko chhodna aur jo sabse jyada mahatvpurn hai wo hota hai aage badhte rhne, jindgi me, rishto me hmesa.

Hamlog parwaah krte hai lekin har baar jaroori nahi hota use jtana, ham fikr bina jikr ke bhi kr sakte hai, har baat jubaan se kahi jaaye jaroori nahi hai kuchh baate maun ardh bhi keh dalte hai, nano ki bhasha bhi keh jaati hai. jaise ki maine aushotosh rana ki poetry me suna tha..jhuke nain…maun ardh…arth sabhi ka pyaar.

Bas jis din hme aise prem krna aa gya us din is prem me bas anand hoga pira nahi aur hui bhi to kya hai to prem ki hi n.

To bas prem kjiye moh nahi aur premi baniye wyaapaari nhi.

kyunki maine kahi padha tha 'prem wyahaar thode hai jo aap kro to hi ham kre, prem to prakriti hai aur prakriti ka kaam kya hai..bas dena


Comments

Popular posts from this blog

Real happiness. ..sachchi khusi

Be the real you

Shaadisuda ka bachpane ka hak nhi.....