TERE DIYE TOHFE KO KHONE KE LIYE


TERE DIYE TOHFE KO KHONE KE LIYE


kosis thi khuda us tohfe ko zindgi bhar sambhalne  ki
pd ek chuk ne use kuchh samay bhi n tikne diya
itna judab hua tha usse ki khone ke baad lga ki 
apna koi ang kho diya

kuchh sapne jaage the kuchh umeede jgi thi
dhundh kr wapis de do n wo sb khi kho chuki hai
jiski kabhi kalpana n kr saki m
use tumne meri zindgi ki haqeekat bna diya
aisa lagta hai ki khana to de diya khaane ko
magar usse namak hi chura liya

chahti to hu ilzaam du bht logo ko
phir tera karam- phal ki geeta gyaan ki yaad aati hai
kiya hoga kuchh galt maine hi kisi ko q ilzaam du
jasbaat samajh le mere dil ki qki
ab ye labj kuchh n bol paayenge
ye aakhe hi gawahi hai tujhe or kya samjhaayenge
andar se bikhrne ka ehsaas ho rha hai
simetne ki himmat bhi nhi bachi ye dil itna jyada tut chuka hai
maana di thi teri jagah qki tumhara hi to diya tha n
sayad itni si bhi jagah nhi bani thi ki mere rehne ya na rehne se koi fark n ho
sayad itna hi bharosa tha ki ek chhota sa hawa ka jhoka hi kaafi tha
sbkuch khatam karne ke liye
maaf krdena khuda tere diye tohfe ko khone ke liye
  

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Real happiness. ..sachchi khusi

Be the real you

Shaadisuda ka bachpane ka hak nhi.....