Prem aur chaah
Aaj ke samay me sab independent hona chahte hai sab isi hor me hai ki jyada kmaya kaise jaaye apne skill par kaam kaise kiya jaaye, apni lifestyle ko aur jyada achcha kaise bnaya jaaye, par is daur me ham ek skill khote hue jaa rhe hai, wo hai rishte nibhaane ka hunar. Aaj ke samay me logo ke liye upsc crack krna samasya nhi hai balki apne family ko deal krna hai, apne dosto ko khush krna hai aur jin logo ka breakup hua hai unlogo ke liye move on krna hai pyaar aur chaah ektarfa ho sakta hai, yha tk ki nibhaya bhi jaa sakta hai lekin koi rishta kabhi ektarfa nibhaya nhi jaa sakta, kyunki pyaar me koi shart nhi hoti lekin rishte me na chahte hue bhi hoti hai. shart bharose ki, shart sach bolne aur sunne ki. samay kisi ka khraab hai us samay kabhi ham nhi samajhte par jab uska sab thik ho jaaye to kya hamlog tyaar hote hai sab thik dekhne ke liye ya use swikaarne ke liye. Mera manna to bas itna hai ki pyaar kro, chaaho, bhut chaho lekin kisi rishte ki umeed kiye bina qki ye umeede h